na barq na sho.ala ne sharar huun
jo kahiye so qissa muḳhtasar huun
juun aks mera kahan Thikana
tere jalve se jalva-gar huun
ai naqsh-e-qadam rah-e-fana men
main tujh se Tuk ek peshtar huun
ye ḳhair hai ḳhair-e-mahz hai to
banda ganda jo main bashar huun
ma.alum hui na kuchh haqiqat
main kya huun kaun huun kidhar huun
ai umr-e-ba-bad-e-rafta le chal
main bhi tere hi ham-safar huun
juun sho.ala miyan-e-be-qarari
qaa.em apne qarar par huun
huun nala-e-na-rasa va-lekin
apne haq men to kargar huun
aate hain nazar sabhi hunar-mand
main hi ek saaf be-hunar huun
huun tir-e-bala ka main nishana
shamshir-e-jafa ka main sipar huun
lena miri ḳhair-ḳhabar to ḳhair dila
ghafil huun nipaT hi be-ḳhabar huun
bhule bhi kabhu na yaad karna
bar-e-ḳhatir main is qadar huun
huun laghv main aap apni zaton
auron ka naf.a ne zarar huun
tere daman se lag raha huun
apni tar-damani se tar huun
dard ki zat-e-pak ka hai
go ain nahin vale ‘asar’ huun
Leave a Reply