
Poet
na badalna tha na badla dil-e-shaida apna
rang har vaqt badalti rahi duniya apna
surat-e-atish-e-ḳhamosh jala karta huun
dekhta huun shab-e-gham aap tamasha apna
zaḳhm ne daad na di dard ne fariyad na ki
rah gaya thaam ke qatil bhi kaleja apna
husn hai dad-e-ḳhuda ishq hai imdad-e-ḳhuda
ghair ka daḳhl nahin baḳht hai apna apna
vo sunen ya na sunen nala-o-fariyad ‘aziz’
aap hargiz na karen tark taqaza apna

Leave a Reply