• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Ghadi Mat Ruth Us Se Pher Pal Mein Mil Na Ja

Har Ghadi Mat Ruth Us Se Pher Pal Mein Mil Na Ja

poet

har ghadi mat ruuth us se pher pal men mil na ja

gar bhala manas hai us kuche men tu ai dil na ja

avval-e-ishq un buton ka lutf hai dam-e-fareb

us ki mehr-o-dilbari par ai dil-e-mail na ja

tegh-e-kin se khak-o-khun men kar liya haae mujhe

raqs-e-bismil ka tamasha dekh ai qatil na ja

ham-sari ka us qad-e-mauzun se tu daava na kar

apni had se bahar ai shamshad-e-padar-gil na ja

ishq ke ku men ki hai ja-e-malamat be-khabar

aana phir vaan se salamat hai bahut mushkil na ja

zahida rindon ki gustakhi ko khatir men na la

ham se divanon ki baton par tu ai aaqil na ja

haath malta hi raha ‘hasrat’ dil us ko de ke haif

haath se aisi tarah ya-rab kisi ka dil na ja

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apni Aankhon Ke Samundar Mein Utar Jaane De

Ye Kisi shaKHs Ko Khone Ki Talafi Thahra

abdul-hafiz-naeemi

Ghubar-e-dard Se Sara Badan Ata Nikla

kiwaD Band Bhi Hai Aur Nim-Wa Bhi Hai

Raaz Ye Mujh Pe Aashkara Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet