muskura sakta nahin aansu baha sakta nahin
zindagi ab main tire ehsan uTha sakta nahin
jo shikast-e-arzu par muskura sakta nahin
zindagi ki azmaton ka raaz pa sakta nahin
taliban-e-rang-o-bu kanTon se daman-kash na hon
shaḳh-e-gul tak yuun kisi ka haath ja sakta nahin
tujh se mil kar jaane kyuun hota hai ye mujh ko guman
tujh ko kho sakta huun lekin tujh ko pa sakta nahin
mutma.in huun main ki zinda hai miri tab-e-ghayur
meri ḳhuddari pe koi harf aa sakta nahin
sham-e-giryan ko bhala kya azmat-e-gham ki ḳhabar
koi parvana kabhi aansu baha sakta nahin
tujh se milne ki tamanna hai ki tujh se rah ke duur
e’tibar-e-hasti-e-mauhum aa sakta nahin
‘lais’ main rakhta huun pahlu men dil-e-dard-ashna
bhuul kar bhi main kisi ka dil dukha sakta nahin
Leave a Reply