jab masjidon aur imam-bargahon men
naqab lagai jaati thi
to kai be-rang daere savaliya nishan liye
hamare raste men aa khade hote
ki kalisaon aur mandiron ka nizam kaun se khuda ke paas hai
jo amn ki fakhtaon ko
ibadat-gah ke raushan-danon men bhej deta hai
isi saval men javabi rang bharne ke liye
ham ne lahhu ko barud men ghol kar insaniyat ka bharam ganva liya
ab kisi bhi naam ka jangal pukare
maut par phaila ke nachti hai
aur ham duaiya hathon men qabr khodne ke liye
zamin dhundte hue
apne jismon men dafn khairati sanson pe palti
zindagi ke gaz napte hain
ham siyah labon se nikli hui bad-duaon ka
vaqt-e-qubuliyat hain
isi liye to nishana-baz maut hamen
ibadat-gahon men bhi dhundh leti hai
ham mutthi bhar log tumhare tukdon pe palne aa gae
to tumhari taaffun ugalti galiyon ne
rozgar pe laga diya
rizq to kuda-karkat ke dher se bhi mil jaata hai
magar vo udhde hue adh-jale jism
kahan talash karen
jo khuda se muzakarat karne gae the
aur tukdon ki surat kalisaon ki saffak divaron pe
chaspan kar diye gae
aur ham jahannam-rasida log al-vidai shaam ki
khaak phankne aae hain
ki suna tha shahar men phir se
bikhre hue chehron ki numaish hai
Leave a Reply