murattab aur bhi ik goshvara ho raha hai
to kya hai gar abhi ham ko ḳhasara ho raha hai
hamare paas to ham se ziyada tu nahin tha
so tu kya ab to ḳhud se bhi kinara ho raha hai
hamare ḳhvab men ahmiyat-e-shab thi ziyada
so ab vo ḳhvab ankhon men sitara ho raha hai
tumhari aarzu hone se pahle bhi to ham the
guzara ho raha tha so guzara ho raha hai
haya-alud ankhen hain na anchal hai na chilman
ye kis viran duniya ka nazara ho raha hai
abhi ham faisla karne ki ujlat men nahin hain
magar lagta hai jiine se ḳhasara ho raha hai
ḳhala se is zamin par sang-rezo ki ye barish
kisi janib se kya koi ishara ho raha hai
Leave a Reply