
Sahar Mahmood
munh se jo kuchh bolo bhayya
pahle us ko tolo bhayya
bojh zara kam ho ja.ega
yaad men un ki ro lo bhayya
tanha kab tak chalte rahoge
saath kisi ke holo bhayya
ye galiyan badnam bahut hain
jald yahan se Dolo bhayya
main ne bhi ye siikh liya hai
pyaar ho jis se bolo bhayya
achchha hai ye dard kisi ka
apne dil men samo lo bhayya
der hui main kaan dhare huun
darvaza to kholo bhayya

Leave a Reply