Munh Kitabi Tera Bayazi Nain

munh kitabi tera bayazi naiin

vo javabi hai e’tirazi naiin

sarv har-chand hai ghulam tira

lekin azadgi ka raazi naiin

sahib-e-hal ko zamane men

fikr-e-mustaqbil aur maazi naiin

daad be-dad tujh sitam suun hai

bas-ki shahr-e-husn men qaazi naiin

‘mubtala’ baagh men hai shor-o-fughan

gul kuun bulbul ki kuchh taqazi naiin

Leave a Comment