munh jo furqat men zard rahta hai
kuchh kaleje men dard rahta hai
thi kabhi rashk-e-mahr ke ashiq
dhuup ka rang zard rahta hai
kis ke sunte ho raat ko naale
kahte ho sar men dard rahta hai
kabhi puchha na mere kuche men
kaun sahra-navard rahta hai
shor hai zard aai hai andhi
kya mira rang zard rahta hai
yaad aati hain garmiyan teri
dil hamara bhi sard rahta hai
kahte ho tujh ko dekhte hain ham
banda sahra-navard rahta hai
jis taraf baithte the vasl men aap
usi pahlu men dard rahta hai
kahte hain dil ki chot ka hai fasad
munh ‘taashshuq’ jo zard rahta hai
Leave a Reply