mumkin hai shab-e-hijr dua ka na asar ho
hai raat vo kya raat ki jis ki na sahar ho
thukra ke chale jaana hai bar-haq tumhen lekin
bas rakhna khayal itna jahan ko na khabar ho
vo shab jo sitaron se bhari ho to hamen kya
pahlu men agar tere miri shab na basar ho
garja hai bade zor se badal zara dekho
bijli se giri jis pe kahin mera na ghar ho
jivan hai safar ‘josh’ ye taslim hai lekin
mahbub ka ho saath to kya khuub safar ho
Leave a Reply