• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mulaqaton Ka Aisa Silsila Rakkha Hai Tumne

Mulaqaton Ka Aisa Silsila Rakkha Hai Tumne

saleem-kausar

mulaqaton ka aisa silsila rakkha hai tum ne

badan kya ruuh men bhi rat-jaga rakkha hai tum ne

koi asan nahin tha zindagi se kat ke jiina

bahut mushkil dinon men rabta rakkha hai tum ne

ham aise milne valon ko kahan us ki khabar thi

na milne ka bhi koi rasta rakkha hai tum ne

junun ki halaton ka ham ko andaza nahin tha

diye ki shah pe suraj ko bujha rakkha hai tum ne

hava ko habs karna ho to koi tum se sikhe

dariche band darvaza khula rakkha hai tum ne

ab aisa hai ki duniya se ulajhte phir rahe hain

ajab kaifiyaton men mubtila rakkha hai tum ne

khizan jaise hare pedon ko rusva kar rahi hai

suluk aisa hi kuchh ham se rava rakkha hai tum ne

rihai ke liye zanjir pahnai gai thi

asiri ke liye pahra utha rakkha hai tum ne

burida aks larzan hain lahu ki vahshaton men

ye kaisa aina-khana saja rakkha hai tum ne

jahan kirdar gunge dekhne vaale hain andhe

isi manzar se to parda hata rakkha hai tum ne

mohabbat karne vaale ab kahan ja kar milenge

guzargahon ko to maqtal bana rakkha hai tum ne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Marham-E-Waqt Na Ejaz-E-Masihai Hai

Ai Zauq Arz-E-Hunar Harf-E-Etidal Mein Rakh

Din-Ba-Din Safha-E-Hasti Se miTa Jata Hun

poet

Isi Mamul-E-Roz-O-Shab Mein Ji Ka Dusra Hona

Ishq Mein Har Bala Ko Aane Do

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet