mujh ko ye fikr kab hai ki saaya kahan gaya
suraj ko ro raha huun ḳhudaya kahan gaya
phir aa.ine men ḳhuun dikha.i diya mujhe
ankhon men aa gaya to chhupaya kahan gaya
avaz de raha tha koi mujh ko ḳhvab men
lekin ḳhabar nahin ki bulaya kahan gaya
kitne charagh ghar men jala.e ga.e na puchh
ghar aap jal gaya hai jalaya kahan gaya
ye bhi ḳhabar nahin hai ki hamrah kaun hai
puchha kahan gaya hai bataya kahan gaya
vo bhi badal gaya hai mujhe chhoḌne ke baad
mujh se bhi apne aap men aaya kahan gaya
tujh ko ganva diya hai magar apne aap ko
barbad kar diya hai ganvaya kahan gaya
Leave a Reply