mujh ko shahi nahin taufiq-e-faqirana de
rakh mujhe bazm men chahe mujhe virana de
bhar de bharna hai agar ishq ka sauda sar men
mujh ko dena hai agar jur.at-e-rindana de
aḳhirash had bhi hai isar ki koi ki nahin
sham.a par jaan kahan tak koi parvana de
main haqiqat ki tahen khol ke rakh sakta huun
mujh ko tartib to dene koi afsana de
ye na uTThenge kabhi sat.h se apni uupar
in ḳhirad valon ko shah kitni bhi divana de
adl-o-insaf rava taaki dobara ho jaa.en
faisla karne na munsif ko bhi man-mana de
tu jo chahe to badal jaa.e jahan ki tasvir
inhin shahon ko jo ehsas-e-faqihana de
kis ko apna kahen aur ghair kahen kis ko ‘nihal’
de na apna koi kuchh aur na begana de
Leave a Reply