mujh ko mahsus hone laga hai ḳhuda pahle jaisa nahin
ye nahin mere kahne ka matlab ki jaisa hai achchha nahin
kaise kaise na mab.hut-kun sher nazil hue qalb par
teri haibat ke shayan-e-shan ek misra bhi utra nahin
chal fana ke safar men yahi raḳht hamrah le kar chalen
is qadar muḳhtasar zindagi men to gham ḳharch hoga nahin
yuun mayassar ko ham ne muassir kiya ḳhud ko behtar kiya
varna bin tere ham the akele koi aur bhaya nahin
raat bhar ḳhvab mele se ta.abiren ham ne ḳharidin vahan
bik raha tha vahi maal jis ko kabhi pahle dekha nahin
mere ghar se nikalti to hai ek rah tere ghar ki taraf
us pe pindar-e-hasti magar mere hamrah chalta nahin
vaqt puura hua chahta hai magar ham adhure abhi
kho chuke hain tujhe aur ḳhud ko abhi ham ne paaya nahin
Leave a Reply