mujh ko Doli men biTha Dar ke havale kar de
meri maan mujh ko muqaddar ke havale kar de
ab ye ehsas ki duniya men koi mera nahin
jaane kab mujh ko samundar ke havale kar de
us qabile se nahin main ki jo apni laḌki
jang ke ḳhauf se lashkar ke havale kar de
ghumne phirne ka haq rakhti hai phir bhi titli
kis liye ḳhud ko gul-e-tar ke havale kar de
ḳhali kamre men paḌe rahne se behtar hoga
ai ‘qamar’ ḳhud ko bhare ghar ke havale kar de
Leave a Reply