mujhe to intizar-e-ishq men hi lutf aata hai
kisi ki chahaton ka rang har dhadkan pe taari ho
ajab sa karb bechaini musalsal be-qarari ho
nigahen muntazir furqat kasak aur ah-o-zari ho
mujhe to intizar-e-ishq men hi lutf aata hai
kabhi pahlu men milta hai kabhi vo duur jaata hai
kisi ke jism o jaan ko ishq har lamha jalata hai
tasavvur kaise kaise dil-nashin manzar dikhata hai
mujhe to intizar-e-ishq men hi lutf aata hai
abhi to furqat-e-janan ke qisse khuub likhne hain
dabi chahat ke naghme aur tarane khuub likhne hain
rifaqat men judai ke fasane khuub likhne hain
mujhe to intizar-e-ishq men hi lutf aata hai
‘alina’ intizar-e-ishq ghazlon ko saja dega
visal-e-yar to bas chand lamhon ka maza dega
milan ho phir judai aisa pal har pal saza dega
mujhe to intizar-e-ishq men hi lutf aata hai