mujhe saqi-e-chashm-e-yar ne ajab ek jaam pila diya
ki nashe ne jis ke gham-e-jahan mire dil se saaf bhula diya
karun kya bayan main vasf ab mai-e-nab-e-ishq ka dosto
ki khudi ki qaid se yak-qalam ba-khuda ki mujh ko chhuda diya
asar us ki chashm-e-karam ka ab karun kis zaban se main bayan
ki ba-har makan-o-ba-har taraf mujhe haq ka jalva dikha diya
kisi aarzu ki rahi nahin hai mire dil men kuchh bhi samae ab
mujhe saqiya mai-e-lutf se tu ne kya hi khuub chakha diya
tiri tegh ghamza-e-chashm ne jo hain qatl mujh ko kiya sanam
to vahin pe isa-e-naz ne mujhe ek dam men jila diya
na faqat tumhari nigah ne mire dil ko haath se le liya
ki tumhari zulf-e-daraz ne mujhe sau bala men phansa diya
na thi chashm mujh ko ye ai sanam ki tumhari chashm ne yak-qalam
mire rakht-e-aql-o-shakeb ko barq-e-nigah se jala diya
mujhe tu ne apne jamal ke dikhla ke tarhen nau bano
kabhu misl-e-abr rula diya kabhu misl-e-barq hansa diya
main fida-e-khadim-e-shah huun dil-o-jan se ‘asim’ jis ne ab
jise bujhna hi muhal tha use ek pal men sujha diya
Leave a Reply