mujhe rona nahin avaz bhi bhari nahin karni
mohabbat ki kahani men adakari nahin karni
hava ke khauf se lipta hua huun khushk tahni se
kahin jaana nahin jaane ki tayyari nahin karni
tahammul ai mohabbat hijr pathrila ilaqa hai
tujhe is raste par tez-raftari nahin karni
hamara dil zara ukta gaya tha ghar men rah rah kar
yunhi bazar aae hain kharidari nahin karni
ghazal ko kam-nigahon ki pahunch se duur rakhta huun
mujhe banjar dimaghon men shajar-kari nahin karni
vasiyyat ki thi mujh ko qais ne sahra ke baare men
ye mera ghar hai is ki char-divari nahin karni
Leave a Reply