• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mujhe Rang-E-Khwab Se Zindagi Ka Yaqin Mila

Mujhe Rang-E-Khwab Se Zindagi Ka Yaqin Mila

ada-jafarey

mujhe rang-e-khvab se zindagi ka yaqin mila

kabhi dil dukha to kuchh aur bhi vo qarin mila

koi qissa hijr-o-visal ka na suna mujhe

jo harim-e-dard tak aa gaya so vahin mila

sar-e-khvab hi kabhi tum bhi to mujhe dekhte

vo tilism tha ki falak bhi zer-e-nagin mila

isi aaine se milengi meri gavahiyan

tumhen aks mera jis aaine men nahin mila

kahin naqsh-e-pa koi mauj-e-rang nahin thi main

main vo soch huun jise e’tibar-e-jabin mila

miri zindagi kadi dhuup men to kati magar

miri chhanv sa koi saeban bhi kahin mila

hua yuun ki phir mujhe zindagi ne basar kiya

koi din the jab mujhe har nazara hasin mila

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet, Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hai Andhera to Samajhta Hun Shab-E-Gesu Hai

adil-mansuri

Ufuq Ki Hatheli Se Suraj Na Ubhre

Tumhaare Raste Se haT Gae Hain

Gardish-E-Ab-O-Hawa Jaanti Hai

Ek Tir Nahin Kya Teri Mizhgan Ki Safon Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet