mujhe ghubar uḌata hua savar laga
mira qayas havaon ko nagavar laga
uchhalne men tujhe kitne haath shamil the
kinare baiTh ke lahron ka kuchh shumar laga
vo buḌha peḌ jo tha barg-o-bar se mahrum
ham us se lag ke jo baiThe to saya-dar laga
ubuur dariya ko karta raha magar ik baar
hue jo shal mire baazu to be-kanar laga
nigah arz-o-sama men jo main ne dauḌa.i
khincha hua mujhe charon taraf hisar laga
Leave a Reply