mujhe dar se apne tu taale hai ye bata mujhe tu kahan nahin
koi aur bhi hai tire siva tu agar nahin tu jahan nahin
padi jis taraf ko nigah yaan nazar aa gaya hai khuda hi vaan
ye hain go ki ankhon ki putliyan mire dil men jaae butan nahin
mire dil ke shishe ko bevafa tu ne tukde tukde hi kar diya
mire paas to vahi ek tha yaan dukan-e-shisha-garan nahin
mujhe raat saari hi tere haan kate kyuun ke rote na shama saan
ki ho sake hai kuchh ab bayan na ye baat hai ki zaban nahin
koi samjhe kyuun ke ye muddaa ki paheli sa hai ye majra
kaha main tujhe nahin chaah kya laga kahne mujh se ki haan nahin
na mila hamen koi nukta-dan ye bipat suna den bhala kahan
na hua sabhon pe vahi ayaan jo kasu se yaan to nihan nahin
tujhe dard kyuun ki sunaun main na khuda kisi ko dikhae ye
jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kya ki us ka bayan nahin
Leave a Reply