muddat ke ba.ad aisi suna.i ḳhabar mujhe
main nama-bar ko dekhta huun nama-bar mujhe
mahfil pe apni naaz tumhen maut par mujhe
bas jaao ab na dekhna kal se idhar mujhe
sau raten ek hijr ki shab men tamam kiin
jab aankh band ki nazar aa.i sahar mujhe
saada varaq javab men ik la ke de gaya
divana janta hai mira nama-bar mujhe
haan thi kabhi tamiz siyah-o-safed men
aur ab to jaisi shaam hai vaisi sahar mujhe
navak kaman men joḌ ke kahte hain naaz se
haan kaun kaun kahta hai bedad-gar mujhe
‘manzar’ ye shor-e-nauha gham-e-naz.a men hai kyuun
nakamiyon ko rote hain ya chara-gar mujhe
Leave a Reply