• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mubtala Ye dil Hua Jab Yar Nanga Ho Gaya

Mubtala Ye dil Hua Jab Yar Nanga Ho Gaya

poet

mubtala ye dil hua jab yaar nanga ho gaya

shama be-parda hui qurban patanga ho gaya

gir pade ushshaq us ki tegh-e-khun-asham par

kal shahadat ke talab-garon ka danga ho gaya

dafn kar ke fatiha padh ke mira bola vo shokh

aaj bimar-e-mohabbat mera changa ho gaya

bazm men jal kar kiya shab raz-e-ulfat ashkar

shama ke manind parvana bhi nanga ho gaya

gir ke us ke kucha-e-tarik men nikla na dil

pech-e-zulf-e-yar ka mujh ko adanga ho gaya

vasf dair-o-kaaba ka ham ne judagana kiya

ek hi mazmun tha fiqara do-ranga ho gaya

badhte badhte apna tul-e-zindagani kam hua

ghatte ghatte jama-e-hasti utanga ho gaya

khushnuma hai us rukh-e-raushan pe kya khal-e-siyah

zeb gulzar-e-iram ka la-bhujanga ho gaya

shah-e-haft-aqlim se ai dil gada-e-dahr tak

dhang se aaya vahan se yaan kadhanga ho gaya

jis qadar vo mujh se bigda main bhi bigda us qadar

vo hua jaame se bahar men bhi nanga ho gaya

yuun kahenge yaar iqlim-e-sukhan men in dinon

‘muntahi’ bhi ek hi katta-dabanga ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-hamid-adam

Humse Chunan-Chunin Na Karo Hum Nashe Mein Hain

Meri KHak Usne Bikher Di Sar-E-Rah Ghubar Bana Diya

Har Lamha Dil-Doz KHamoshi chiKH Rahi Hai

poet

Jis Ko Jaana Tha Kal Tak KHuda Ki Tarah

poet

Kahan Hai Zindagi Bas Mein Hamare

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet