mom hai ankhon ka patthar dekh to
jaise main roya huun ro kar dekh to
gham ki manzil is qadar suuni nahin
do-ghaḌi hamrah chal kar dekh to
raah men bhi tujh se tanha log hain
ghar men hai ghar se nikal kar dekh to
lu ruki to khiḌkiyan khulne lagin
har dariche men hai ḳhanjar dekh to
tere jalvon se makan bhar ja.ega
aks hai a.ina ban kar dekh to
main bhi shayad ji sakun tere baghair
ek din mujh se bichhaḌ kar dekh to
ḳhamushi ka daur ruḳhsat ho chuka
maan hi ja.ega kah kar dekh to
tu ne jis jalve ko parda kar diya
ghumta-phirta hai ghar ghar dekh to
teri ankhen bhi bhar aa.en ghaliban
tu bhi mera naam le kar dekh to
gore galon men gaḌhe paḌ ja.enge
ashk’ un ko gudguda kar dekh to
Leave a Reply