mohtaj nahin qafila avaz-e-dara ka
sidhi hai rah-e-but-kada ehsan khuda ka
gar hai sar-e-daryuza-e-faiz ahl-e-nazar se
ho rah-nashin marhala-e-faqr fana ka
khush-nudi-e-maashuq hai ranjur hai ashiq
be-dard hai vo khasta ki le naam dava ka
is baagh ki nikhat ka huun mushtaq ki ho jaae
jaate hue dam band jahan bad-e-saba ka
koi nahin kahta ki ye kis ka hai karishma
ik shor hai iisa ke dam-e-ruh-faza ka
jhaden tire ushshaq use gard samajh kar
pad jaae agar sar pe kabhi saaya huma ka
tan fart-e-latafat se ho jab ruh-e-mujassam
kya zor chale kashmakash-e-band-e-qaba ka
kab kalbud-e-khak men ho itni nazakat
jo but hai vo putla hai magar naz-o-ada ka
yuun qatl kare ghamza-e-dildar kahen kya
jauhar na kahen gar mizha ki tegh-e-qaza ka
kya daane ki khvahish ki hai tasir ki jis se
hota hai guzar daam men murghan-e-hava ka
asrar haqiqat ka ho ashar men shareh
kya hausla hai ‘nazim’-e-ashufta-nava ka
Leave a Reply