mohabbat men sukun mahrumiyon ke ba.ad aata hai
ki jab har aasra miT jaa.e tab dil chain paata hai
ḳhud apna hi lahu avaz ko rangin banata hai
kuchal jaata hai jab dil tab kahin naghma sunata hai
ye kya jabr-e-mashiyat hai ye kya jabr-e-sadaqat hai
ki jis ko ham bhulana chahte hain yaad aata hai
ye kya zid hai ki duniya bhi rakho aur ji na maila ho
ye duniya ḳhush hi tab hoti hai jab dil TuuT jaata hai
karam kaisa yahan to narm lahje se bhi dahshat hai
tabi.at ḳhush to ho jaati hai par dil thartharata hai
Leave a Reply