mohabbat men na jaane kyuun hamen fursat ziyada hai
hamara kaam thoḌa hai magar mohlat ziyada hai
hamen is alam-e-hijran men bhi ruk ruk ke chalna hai
unhen jaane diya jaa.e jinhen ujlat ziyada hai
ye dil bahar dhaḌakta hai ye aankh andar ko khulti hai
ham aise marhale men hain jahan zahmat ziyada hai
so ham fariyadiyon ki ek apni saf alag se ho
hamara mas.ala ye hai hamen hairat ziyada hai
samajh paa.e nahin dekhe baghair us ka nazar aana
mashaqqat kam se kam ki thi magar ujrat ziyada hai
tamasha-gah charon samt se pur-shor hai ya.ani
kahin jalvat ziyada hai kahin ḳhalvat ziyada hai
tujhe halqa-ba-halqa khinchte phirte hain duniya men
so ai zanjir-e-pa yuun bhi tiri shohrat ziyada hai
ye saari amad-o-raft ek jaisi to nahin ‘shahin’
ki duniya men safar kam kam hai aur hijrat ziyada hai
Leave a Reply