mohabbat men jiina na.i baat hai
na marna bhi mar kar karamat hai
main rusva-e-ulfat vo maruf-e-husn
baham shohraton men musavat hai
na shahid na mai hai na bazm-e-tarab
ye ḳhamiyaza-e-tark-e-adat hai
shab o roz furqat hamara har ek
ajal ka hai din maut ki raat hai
uḌi hai mai-e-muft ‘sa.el’ mudam
ki saaqi se gahri mulaqat hai
Leave a Reply