miTate jaate hain jo bhi nishan banate hain
ham apne pichhe kahan karvan banate hain
ham apne haath se apna jahan banate hain
sitare gaḌhte hain aur kahkashan banate hain
majal kya jo kisi gul ko chhu le bad-e-sumum
ham apne tarz-e-amal se ḳhizan banate hain
hamare haath magar be-ghari hi lagti hai
zamin banate hain ham asman banate hain
unhen sambhal ke rakhna hava na dena tum
hamare sher ye chingariyan banate hain
yaqin rakkho ye manzar badalne vaala hai
sharar uḌne se pahle dhuan banate hain
kuen se pyaas ka rishta koi naya hai kya
banane vaale abas dastan banate hain
naya banane ki dhun men pata nahin chalta
kahan bigaḌte hain aur kahan banate hain
kisi buzurg ki sohbat men baiThte hain ‘talab’
bala ki dhuup hai ab sa.eban banate hain
Leave a Reply