minnat-kash-e-ilaj-e-masiha nahin raha
kya gham agar maraz se ifaqa nahin raha
kasrat men imtiyaz hai vahdat men kuchh nahin
qatra mila jo bahr men qatra nahin raha
dil men to jalva-gar hain nigahon se duur hain
parde ki baat ye hai ki parda nahin raha
jo bhi raha amal ke nata.ej se be-niyaz
hargiz vo na-murad-e-tamanna nahin raha
jis men ḳhudi nahin use jiine ka haq nahin
yaksan hai vo jahan men raha ya nahin raha
haan asman-e-gham mujhe ahl-e-zamin kahen
kab tar-e-ashk rashk-e-surayya nahin raha
‘za.iq’ agar ho kahni to kahiye mufid baat
harza-sara.iyon ka zamana nahin raha
Leave a Reply