Misl-E-Bahisht-E-KHush-Numa Kaun-O-Makan Mein

misl-e-bahisht-e-ḳhush-numā kaun-o-makān meñ

insān mubtalā hai ajiib imtihān meñ

bujhtī nahīñ hai koshish-e-dariyā ke bāvajūd

ye kaisī tishnagī hai mire jism o jaan meñ

vo dhuup meñ khaḌā hai baḌe itminān se

lau de rahā hai merā badan sā.ebān meñ

kyuuñ naam intisāb meñ likhkhā gayā mirā

kirdār jab nahīñ thā mirā dāstān meñ

is baar pastiyāñ bhī mayassar na ā.eñgī

shal ho ga.e jo bāl-o-par ūñchī uḌaan meñ

vābasta tujh se azmat-e-sher-o-suḳhan huī

is baat ko bhī rakhnā ‘ḳhayāl’ apne dhyān meñ

Leave a Comment