misal-e-tar-e-nazar kya nazar nahin aata
kabhi khayal men mu-e-kamar nahin aata
hamare aib ne be-aib kar diya ham ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata
muhal hai ki mire ghar vo raat ko aae
ki shab ko mehr-e-darakhshan nazar nahin aata
tamam khalq men rahti hai dhuup raton ko
vo mehr baam se jab tak utar nahin aata
muhal hai ki jahannam men khuld se jaaen
jo dar par aap ke jaata hai ghar nahin aata
hamari ziist men the saath kaun kaun ai ‘barq’
ab ek fatiha ko qabr par nahin aata
Leave a Reply