• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Minnaton Se Bhi Na Wo Hur-Shamail Aaya

Minnaton Se Bhi Na Wo Hur-Shamail Aaya

dagh-dehlvi

minnaton se bhi na vo hur-shamail aaya

kis jagah aankh ladi haae kahan dil aaya

ham na kahte the na kar ishq pashiman hoga

jo kiya tu ne vo aage tire ai dil aaya

qahqahe qulqul-e-mina ne lagae kya kya

mujh ko masti men jo rona sar-e-mahfil aaya

qatl ki sun ke khabar iid manai main ne

aaj jis se mujhe milna tha gale mil aaya

ta dam-e-marg na ho vo mire dushman ko nasib

jo maza mujh ko ilahi dam-e-bismil aaya

marqad-e-qais par ab tak bhi to khar-e-sahra

ungliyon se ye batate hain vo mahmil aaya

ganj-e-qarun ke siva bhi hai adam men sab kuchh

haae duniya men na is mulk ka hasil aaya

jis ne kuchh hosh sambhala vo javan qatl hua

ahd-e-piri na tire ahd men qatil aaya

diin o duniya se gaya to ye samajh le ai ‘dagh’

ghazab aaya agar us but pe tira dil aaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aur Hi Wo Log Hain Jinko Hai Yazdan Ki Talash

Sufi

Ai Yar-e-Naznin dil-O-Jaanam Fida-e-Tu

zehra-nigaah

Apna Har Andaz Aankhon Ko Tar-O-Taza Laga

poet

Khuban Ke Bich Jaanan Mumtaz Hai Sarapa

Sehn-E-Chaman Mein Jaana Mera Aur Faza Mein Bikhar Jaana

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet