Milta Nahin Koi Bhi KHaridar Ishq Mein

miltā nahīñ koī bhī ḳharīdār ishq meñ

rusvā hue haiñ bar-sar-e-bāzār ishq meñ

manzil milī na mahala-e-dil hī tai huā

dasht-e-junūñ ko jāniye dīvār-e-ishq meñ

us nāfa-e-nigāh se pāgal hue to kyā

zanjīr hai ye dard kā āzād ishq meñ

ab tak tire ḳhayāl se namnāk hai ye aañkh

sarf is qadar huā huuñ gunahgār ishq meñ

fariyād kar rahā huuñ judā.ī ke dasht meñ

koī nahīñ sharīk-e-ġham-e-yār ishq meñ

maiñ kunj-e-āfiyat meñ rahā umr-bhar magar

ḳhud se huā huuñ bar-sar-e-paikār ishq meñ

haath aa ga.ī kalīd-e-tilism-e-nigāh kyā

khulne lage haiñ husn ke asrār-e-ishq meñ

hairāniyoñ ke zaḳhm kā marham kahāñ ‘nadīm’

dil sehr-e-dard se huā bedār ishq meñ

Leave a Comment