meri us pyari jhab se aankh lagi
us sarapa ajab se aankh lagi
ishq men khvab ka khayal kise
na lagi aankh jab se aankh lagi
khvab men bhi na dekha ham ne lutf
kis sarapa ghazab se aankh lagi
jitne khush-chashm hain zamane men
rahti hai meri sab se aankh lagi
raat hamsayon ki na subh talak
meri afghan-e-shab se aankh lagi
yaar aata nazar nahin aata
hai idhar meri kab se aankh lagi
rahti hai us nigah-e-kafir ki
ranjish-e-be-sabab se aankh lagi
mujh ko mat dekh hai bala ‘hasrat’
yar-e-ashiq-e-talab se aankh lagi
Leave a Reply