miri tarikiyon se bhagta main
tumhari raushni se aa laga main
diye jaisa badan Dhanpe hue tha
hava hone ka dam bharta hua main
hazaron peḌ hain is dasht men aur
hazaron men kahin tanha khaḌa main
badan huun ruuh ke is da.ere men
aur apni ruuh ka huun da.era main
hava men jazb paani sokh lunga
tumhari ḳhaak se lipTa hua main
mire siine se lag kar so gaya vo
use siine laga kar jagta main
abhi dastak suni main ne lihaza
badan ke sab daron ko kholta main
tiri baton ko sunna bhuul baiTha
tiri baton men itna mubtala main
tu jab tak saath hai mera ḳhuda hai
aur us ke baad huun apna ḳhuda main
Leave a Reply