dard ki shaḳh pe ik taaza samar aa gaya hai
kis ki aamad hai ‘ziya’ kaun nazar aa gaya hai
jaane kis jurm ki paa.i hai saza pairon ne
ik safar ḳhatm pe hai agla safar aa gaya hai
lahr ḳhud par hai pasheman ki us ki zad men
nanhe hathon se bana ret ka ghar aa gaya hai
dard bhi sahna tabassum bhi labon par rakhna
marhaba ishq hamen bhi ye hunar aa gaya hai
aa gaya us ki buzurgi ka ḳhayal andhi ko
ve jo ik raah men bosida shajar aa gaya hai
us ki ankhon men nahin pahli si chahat lekin
ye bhi kya kam hai ki ve lauT ke ghar aa gaya hai
apni mahrumi pe hone hi laga tha mayus
dekhta kya huun duaon men asar aa gaya hai
zindagi rok ke aksar yahi kahti hai mujhe
tujh ko jaana tha kidhar aur kidhar aa gaya hai
haq paraston ke liye sabr ka lamha hai ‘ziya’
jhuuT ke neze pe sachcha.i ka sar aa gaya hai
Leave a Reply