Meri Taqdir Shikwa-Sanj Daur-E-Asman Kyun Ho

mirī taqdīr shikva-sanj daur-e-āsmāñ kyuuñ ho

mile jab dard meñ lazzat talāsh-e-mehrbāñ kyuuñ ho

sharīk-e-lazzat-e-āzād koī ham-zabāñ kyuuñ ho

tumhīñ batlāo ma.anī-ḳhez merī dāstāñ kyuuñ ho

vahī dil hai vahī ḳhvāhish vahī tum ho vahī maiñ huuñ

mirī duniyā meñ āḳhir inqilāb-e-āsmāñ kyuuñ ho

vo mere ba.ad rote haiñ ab un se koī kyā pūchhe

ki pahle kis liye nārāz the ab mehrbāñ kyuuñ ho

bagūloñ meñ uḌe jab ḳhaak mere āshiyāne kī

qafas kī samt hī yārab havā-e-gulsitāñ kyuuñ ho

tumheñ fariyād-ras kahte haiñ maiñ fariyād kartā huuñ

tumheñ āḳhir batāo phir ye koshish rā.egāñ kyuuñ ho

satānā hī agar manzūr hai kah do satāte haiñ

mirī taqdīr ke parde meñ merā imtihāñ kyuuñ ho

hameñ ma.alūm hai ‘tālib’ haqīqat rāz-e-hastī kī

magar is be-haqīqat kī haqīqat hī ayaañ kyuuñ ho

Leave a Comment