miri nigahon pe jis ne shaam o sahar ki raanaiyan likhi hain
usi ne meri shabon ke haq men ye karb-asaiyan likhi hain
kahan hain vo aarzu ke chashme talab ke vo maujzan samundar
nazar ne andhe kuen banae hain fikr ne khaiyan likhi hain
ye jism kya hai ye zaviyon ka tilism kya hai vo ism kya hai
adhuri agahiyon ne jism ki ye nisf golaiyan likhi hain
kinae pairae istiare alamaten ramziye ishare
kiran se paikar ko zaviye de ke ham ne parchhaiyan likhi hain
sukhan ka ye narm-sail dariya dhale to ik abshar bhi hai
nasheb-e-dil tak utar ke padhna badi tavanaiyan likhi hain
mire mah o saal ki kahani ki dusri qist is tarah hai
junun ne rusvaiyan likhi thiin khirad ne tanhaiyan likhi hain
ye mere naghmon ki dil-rasi teri jhiil aankhon ki shaeri hai
jamal ki sat.h di hai tu ne to main ne gahraiyan likhi hain
Leave a Reply