• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Labon Par Un Ke Hayat-Afrin Hansi Na Rahi

Labon Par Un Ke Hayat-Afrin Hansi Na Rahi

labon par un ke hayat-afrin hansi na rahi

gulon men ruuh sitaron men raushni na rahi

ḳhuda shanason ki pahchan hi koi na rahi

ki sar-kashi bhi ba-andaz-e-sar-kashi na rahi

fasana gardish-e-dauran ka nazm kar lete

magar nigah men un ki vo barhami na rahi

vaqar-e-zauq-e-tajassus pe harf aa.ega

agar sharik-e-safar apne gumrahi na rahi

hai apna soz-e-tabassum sharik-e-saz-e-chaman

asir-e-girya-e-shabnam koi kali na rahi

rahe nigah men adab-e-laghzish-e-ulfat

ḳhudi se dab ke kabhi apni be-ḳhudi na rahi

mila tha mauqa-e-takmil-e-dastan-e-hayat

jabin-e-gul pe shikan aur khelti na rahi

shab-e-firaq kuchh aise bhi hadse guzre

charagh jalte rahe aur raushni na rahi

bana.e ham ne ‘shifa’ dosti ke vo sanche

ki dushmanon ko tamanna-e-dushmani na rahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mashwara Kis Ne Diya Tha Ki Masihai Kar

poet

Har Ek Dil Yahan Hai Mohabbat Se Aari

poet

Khaali Aashiq Se Kabhi Kucha-E-Jaanan Na Raha

Shauq-E-Didar Ne Kya Kya Na Tamasha Dekha

allama-iqbal

Jamhuriyat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet