miri nigah men ye rang-e-soz-o-saz na ho
tire karam ka agar silsila daraz na ho
umiid chashm-e-taghaful-shi.ar se kab thi
is iltifat-e-faravan men koi raaz na ho
hamare hal-e-pareshan pe ik nazar bhi nahin
niyaz-mand se itna tu be-niyaz na ho
kisi ne toḌ diye barbat-e-hayat ke taar
ab aur kya ho agar ah-e-jan-gudaz na ho
nazar na aa.e kahin ye bahar ka aalam
agar tasavvur-e-ru-e-chaman-taraz na ho
chala to hai magar ai rahrav-e-rah-e-irfan
haqiqaton ki bhi manzil kahin majaz na ho
jo us ke husn ki parchha.iyan na aa.en nazar
to ruuh garm-e-tavaf-e-harim-e-naz na ho
hai ek fitna-e-bedar husn-e-ḳhvabida
sambhal ki ghaat men vo chashm-e-nim-baz na ho
shab-e-firaq na kaaTe kaTe kabhi ‘muztar’
ḳhayal-e-dost agar gham men dil-navaz na ho
Leave a Reply