miri nigah men lamhon ka ḳhvab utra tha
zamin ki sat.h pe ya mahtab utra tha
vo ḳhaas lamha jise umr-e-javedan kahiye
vo ban ke vasl ka jam-e-sharab utra tha
ye kaisi chuuk hui be-ḳhudi men ham se ki bas
tamam umr musalsal azaab utra tha
muqabla kiya jis peḌ ne havaon ka
usi pe barq-e-tapan ka itaab utra tha
nadi jo pyaas bujhati thi sab ki sadiyon se
ḳhud us ki pyaas bujhane sarab utra tha
sahifa-e-gham-e-hasti ka jab hua tha nuzul
to mujh pe soz-e-mohabbat ka baab utra tha
‘karamat’ us ko to jaana tha asman se pare
vo qafila jo sar-e-aftab utra tha
Leave a Reply