• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri Manzil Kahan Hai Kya Malum

Meri Manzil Kahan Hai Kya Malum

meri manzil kahan hai kya ma.alum

intiha gham hai ibtida ma.alum

tum nahin mere ab ye raaz khula

main tumhara huun ab hua ma.alum

dil ki parva kare koi kab tak

chahta kya hai ye ḳhuda ma.alum

duur se gul ko dekhna kya hai

yuun to hota hai ḳhushnuma ma.alum

paas aa.e to asl husn khule

duur ki chiiz raz-e-na-ma.alum

tum ko chaha baḌa qusur kiya

sahv zahir hai aur ḳhata ma.alum

baat banti nazar nahin aati

un ke tevar se ho gaya ma.alum

vaz.a-dari se chup rahun varna

hai mujhe raaz aap ka ma.alum

kaun hai jis ko ḳhu-e-e-maula ka

raz-e-sar-basta ho saka ma.alum

is qadar jald maut aa.egi

haa.e insan ko ye na tha ma.alum

main vafa bhi karun gile bhi karun

mujh ko hota hai ye bura ma.alum

kya kahen kis liye rahe ma.atub

ham ko ab tak nahin ḳhata ma.alum

chal ke ‘sho.ala’ se puchhiye kyunkar

jurm sabit hua saza ma.alum

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aise Jazbaat Mein Lahje Ko Na Patthar Kije

Ishq Ka Masud Ye Anjam Hai

Chehra Hua Main Aur Meri Taswir Hue Sab

Ghumbad-E-Zat Mein Ab Koi Sada Dun to Chalun

Laga Ke Dil Koi Kuchh Pal Amir Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet