meri koshish hai aaina bhi rahun
aur takra ke tutta bhi rahun
ik qafas men khayal-o-bu ki tarah
qaid bhi main rahun riha bhi rahun
khud se kah luun main dastan apni
dard men kuchh to khush-nava bhi rahun
ho na jaun main be-hisi ka shikar
tujh se milta rahun juda bhi rahun
roz ki kashmakash ke shoalon men
aag bhi main rahun hava bhi rahun
shab ko ‘bebak’ kah raha huun ghazal
taaki main sub.h-ashna bhi rahun
Leave a Reply