• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Meri Izzat Badh Gai Ek Pan Mein

Meri Izzat Badh Gai Ek Pan Mein

poet

meri izzat badh gai ik paan men

farq kya aaya tumhari shaan men

un ko dekha to kaha yuun kaan men

kyuun khalal daala mire iman men

ashiqi hai bahar-e-napaida-kanar

kashti-e-dil aa gai tufan men

hai yahi pahchan baali umr ki

baliyan vo do faqat hain kaan men

tere sadqe ke liye hazir hain sab

dur samundar men javahar kaan men

de ke dil us but ko apna kar liya

is tijarat men nahin nuqsan men

kya mai-e-gul-gun se raunaq ghat gai

rang balki aa gaya iman men

us but-e-kafir ko sajda kar liya

is se kya aaya khalal iman men

tum pari ka fakhr ho huron ka naaz

kaash hote firqa-e-insan men

us ke rukhsaron pe hai khat ki numud

hashiya ye hai naya quran men

gesu-e-pechan tire rukhsar par

sura-e-vallail hai quran men

ariz-e-taban pe hai khat ki numud

habshiyon ki fauj ya iran men

kah do pesh aaya kare achchhi tarah

chal na jaae mujh men aur darban men

vo karen zulm aur tum lab par na laao

varna gustakhi hai un ki shaan men

sunte sunte vaizon se hajv-e-mai

zoaf sa kuchh aa gaya iman men

yuun kahunga vuun kahunga tha khayal

ru-ba-ru kuchh bhi na aaya dhyan men

us ki qudrat se nahin ‘parvin’ baiid

raai ko parbat bana de aan men

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dukh Mein Mahrum Aas thoDi Hain

Ba-Faiz-E-Gardish-E-Ayyam Hum Ko

Har-Chand Mera Gham Gham-E-Nadida Raha Hai

aamir-suhail

Ada Hai Khwab Hai Taskin Hai Tamasha Hai

riyaz-khairabadi

Aati Thi Pahle dil Se Kabhi Bu Kabab Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet