kab ḳhazana talash karta huun
ab-o-dana talash karta huun
jis zamane ko hai talash miri
vo zamana talash karta huun
le ke dariya ko apni muTThi men
koi pyasa talash karta huun
kam-dhanda hai ab yahi mera
kam-dhanda talash karta huun
tera chehra to har taraf paaya
apna chehra talash karta huun
thak gaya huun talash kar kar ke
phir dobara talash karta huun
ek manzar hasin banaya hai
aankh vaala talash karta huun
raakh ka Dher hai mire aage
is men sho.ala talash karta huun
‘abdi’ be-ghari ne maar diya
shab-basera talash karta huun
Leave a Reply