Meri Har KHushi KHushi Thi Teri Har KHushi Se Pahle

mirī har ḳhushī ḳhushī thī tirī har ḳhushī se pahle

mujhe koī ġham nahīñ thā ġham-e-āshiqī se pahle

koī kashmakash nahīñ thī ġham-e-dushmanī se pahle

mujhe ḳhauf hī kahāñ thā tirī dostī se pahle

na bahār-e-mai-kadā thī na surūr-baḳhsh naġhme

tire mai-kade meñ kyā thā mirī mai-kashī se pahle

maiñ duā.eñ chāhtā huuñ maiñ duā kā mustahiq huuñ

tumheñ kaun jāntā thā mirī dostī se pahle

huī sham-e-husn raushan to maiñ ban gayā patañgā

tirī bandagī thī suunī mirī zindagī se pahle

kahīñ tīrgī thī ‘maikash’ kahīñ tīrgī ke Dere

kahīñ raushnī nahīñ thī mirī raushnī se pahle

Leave a Comment