• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHun-E-Nahaq Thi Faqat Duniya-E-Ab-O-Gil Ki Baat

KHun-E-Nahaq Thi Faqat Duniya-E-Ab-O-Gil Ki Baat

poet

ḳhun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat

ye hai mahshar kyuun yahan ho daman-e-qatil ki baat

aaj kyuun ashkon men hai aks-e-tabassum jalva-gar

aa ga.i kya apni had par gham ke mustaqbil ki baat

har nazar rangini-e-ruḳh tak pahunch kar rah ga.i

phuul ab kis se kahen gulshan men zaḳhm-e-dil ki baat

dekhte hi rah ga.e qanun-e-qudrat ahl-e-zabt

le uḌi ḳhakistar-e-parvana jab mahfil ki baat

naḳhuda ham aur tufan se karen fikr-e-farar

ham kabhi karte nahin sahil pe bhi sahil ki baat

ho na jaa.e phir shu.ur-e-karvan nazr-e-fareb

chheḌ di hai rahbar ne aaj phir manzil ki baat

koi apna hai na koi hamdam-o-dard-ashna

ai ḳhuda kis se kahe ‘ejaz’ apne dil ki baat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kaisa Ajab Tamasha Dekh Raha Hun

Rang KHushbu Uski Baaten Kya Bataen

Sufi

Sochta Hun Ki Wo Kaisa Hoga

poet

Kya KHushi Hoti Hai Jis Dam Ghar Mere Wo Aae Hai

Jaan-O-Dil Sunsan Hain ujDe Qabilon Ki Tarah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet