miri bhi maan mira aks mat dikha mujh ko
main ro paḌunga mire samne na la mujh ko
main band kamre ki majburiyon men leTa raha
pukarti phiri bazar men hava mujh ko
tu samne hai to avaz kaun sunta hai
jo ho sake to kahin duur se bula mujh ko
tu aks ban ke mire a.ine men baiTha raha
tamam umar koi dekhta hua mujh ko
varaq varaq yuun hi phirta rahun kahan tak main
kitab jaan ke bōk-shelf par saja mujh ko
ḳhuda to ab bhi hai vo ‘ashk’ kya bigaḌ jaata
agar vo aur tariqe se sochta mujh ko
Leave a Reply