• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri Be-Hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi

Meri Be-Hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi

meri be-hauslagi is se siva aur sahi

aur chaho to mohabbat ka sila aur sahi

yuun bhi kuchh kam to na the itni baharon ke hujum

in men shamil tire daman ki hava aur sahi

mujh ko israr kahan hai ki mohabbat janun

aaj se ma.ani-o-andaz-o-ada aur sahi

talab-e-dard men dil had se guzarta kab tha

tum ne puchha tha ki aur is ne kaha aur sahi

ab to har shahar men us ke hi qaside paḌhiye

vo jo pahle hi ḳhafa hai vo ḳhafa aur sahi

ham isi rahmat-o-zahmat ke hain aadi yarab

jaisi bhi hai isi duniya ki faza aur sahi

sabaq-e-be-gunahi tishna-e-takmil bhi tha

ik naya falsafa-e-jurm-o-saza aur sahi

aaj aap apne mahasin ka bayan kar liije

mahfil-e-tazkira-e-ahl-e-vafa aur sahi

kya zaruri hai ki andaz-e-baharan rakkhe

ab jo kuchh aur hai raftar-e-saba aur sahi

ab bahut shor sahi kal to koi parkhega

in sadaon men faqiron ki nava aur sahi

kyuun na ‘ali’ se alaa.i pe ghazal likhva.e

ek bedadgar-e-ranj-faza aur sahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aise Dekha Hai Ki Dekha Hi Na Ho

Ghazal Mein Dasht Ki Khaali baDai Hoti Hai

Jo Tamasha Nazar Aaya Use Dekha Samjha

kishwar-naheed

Tishnagi Achchhi Nahin Rakhna Bahut

khumar-barabankavi

Bujh Gaya dil Hayat Baqi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet